Views: 335
(Aziz Qaisi) Din ha to raat bhi hoge ( Written by Arslan)
Din ha to raat bhi hoge badal ha to barsat bhi hoge.
Gham na kar maray dost zindagi ha to mulakat bh hoge…!
-دن ہے تو رات بھی ہوگی بادل ہے تو برسات بھی ہوگی
!!…غم نہ کر میرے دوست زندگی ہے تو ملاقات بھی ہوگی
Aziz Qaisi
(Aziz Qaisi): aap ko dekh kar dekhtaa rah gayaa
aap ko dekh kar dekhtaa rah gayaa
kyaa kahuuN aur kehne ko kyaa rah gayaa
un kii aaNkhoN meN kaise chhalakane lagaa
mere hoNThoN pe jo maajaraa rah gayaa
aise bichhaDe sabhii raah ke moD par
aaKharii ham_safar raastaa rah gayaa
soch kar aao kuu-e-tamannaa hai yeh
jaaneman jo yahaaN rah gayaa rah gayaa
zindagI jab bhI terI bazm mein LAtI hai hamein
ye zamIn chAnd se behatar nazar AtI hai hamein
surkh phUlon se MAHEK uThatI hain dil kI rAhen
din Dhale yUN terI AvAz bulAtI hai hamein
taeray Gham ki KhuShbu say jism-o-jaaN MAHEK uTThay
saaNs ki havaa jab bhi Choo kay maeray lab guzri
aek saath reh kay bhi, door hi rahay ham bhi
dhoop aur Chaa’ooN ki dosti ajab guzri
Aziz Qaisi
(Aziz Qaisi): unhen saval hi lagta hai mera rona bhi
unhen saval hi lagta hai mera rona bhi
ajab saza hai jahan men ġharib hona bh
ye raat raat bhi hai oḌhna-bichhauna bhi
is ek raat men hai jagna bhi sona bhi
vo habs-e-dam hai zamīñ asman ki vus.at men
ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi
ajiib shahr hai ghar bhī hain raston ki tarah
kise nasib hai raton ko chhup ke rona bhi
khule men so.enge phir motiya ke phulon se
sajao zulf basā lo zara bichhauna bhi
najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah
hua hai sahl zamiron ke daaġh dhona bhi
‘aziz’ kaisi ye saudagaron kī basti hai
garan hai dil se yahan kaaTh ka khilauna bhi
Aziz Qaisi
Also Visit: https://poetrypk.com/best-no-1-poetry-of-tahzeeb-haafi/
(Publish by Arslan)
(Aziz Qaisi): har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannata hai-
har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannata hai
ye ganga kis ne paati hai ye parbat kis ne kaaTa hai
chāhat nafrat duniya uqba ye ḳhair ḳharabi dard dava
har dhanda ji ka jokhim hai har saudā jaan ka ghata hai
kya jog samadhi-o-rasdhi kya kashf-o-karamat jazb-o-junun
sab aag hava paani miTTi sab daal namak aur aaTa hai
ye raas rang ye mel milan ik haath men chand ik men suraj
ik raat ka mauj maza saara ik din ka sair-sapaTa hai
ghaT ghaaT andhera hai kaise bhandhoge kahan nayya apni
avaz kise doge ‘qaisi’ chau-dham yahan sannaTa hai
Aziz Qaisi
Written & Publish by Arslan